Feb 23, 2010

Khwaish

Anjani ye khwab ki duniya,
le jaati hai sapno ki raho mein,
Adrishya hai jo vastavikta mein ,
ojhal sa na vo lagta hai
Main khwab sanjoti rehti hu,
vo dor thaamti rehti hu.

Kab honge poore sapne mere?
Kab hogi barish Armano ki?
Kab khulenge seep ye moti ke?
Kab hogi aashaon ki poornta?
Is dor ko na koi kheeche meri,
ye dor hai mere sapno ki.

Ab sabra nahi is chahat ka,har poonji mere jeevan ki,
nirbhar hai ab ek aasha par .
Jyoti ye mere aankho ki
bas kwhaab dekhti rehti hai.
Bal hai kitna is umeed mein
Hai dor meri kuch seedhi si.

Ab jaana hai door bahut
Thamne us chhor ko,
Jo ab tak hai bas dhundhli si
Kuch dor se meri khichti si

Sooraj ki dikhti kirno mein
Taaron ki chamak se vidyut si
Hai chandara ki sheet ka kope usmein
Aur nadi ki dhaar si behti si
Ye dor hai mere armaano ki
Khwabon ko such ye kartu si.
Powered By Blogger