Sep 15, 2013

Badalta Sansaar

Garaj, garaj kar barse aaj,Na jaane kabse thi samete , ye ghata inke aansuon ka sartaaj.
Gir gir kar boonde kehti hai,Us ore mujhe mat bhejo fir.Ambar ke seene ke asmanjas se Saagar ki teh mein behne do.
Kehte hai ab na dekhenge, door gagan se prithvi ko,aasha ke toote kaancho ko,dhoondhli si hoti khushiyon ko.Sansaar badalta logo ka ,vishwaas bikharta apno ka,
Chhaya ab dhoonde boonde bhi, Is drishya ko ojhal karne ko.
Ambar se mukti paane ko, girti hai boonde jhar jhar aaj,
Kya jaane ye bhi kya maaya hai,Jaana hai vapas is saagar se ,chhune ambar ki chhati ko,logo ki karun vyatha ke darshan ko.
Varsha aansu ki hoti hai,jab rachit sansaar badalta hai.
Powered By Blogger